Garmi ka weather sabse jada dardnak hota hai. Thand me insaan jitna chahe utna khud ko cover kar sakta hai lekin garmi me wo chah kar bhi khud ke kapde utar nahi sakta hai. Tej garmi me bahar ghumne par ya without joote-chappal ke paidal chalne se ya jada garm cheezo ko kha lene se aapke body ka temperature badh jata hai jiska seedha asar aapke toilet par hota hai. Aapka peshab (toilet) bahut jalan aur ruk-ruk kar hoga. Kya aapko bhi kabhi aisi dikkat hui hai? Agar aapka jawab haa hai to aage padhe humara yeh article jo aapko batayega kuch upay:
Kabhi kabhi aapko peshab karte waqt bahut jor lagani hoti hogi, peshab me bahut jalan bhi hota hoga yehi nahi jyada jor lagane se bhi peshab bass thodi-thodi matra me hi hota hoga… iska upchaar kya hai aaea hum aapko batate hai:
TIPS: Kalmi Shora, Badi Ilayichi, Thanda Doodh bina malayi wala aur Paani. Kalmi shora aur badi ilayichi ke daane ko pees le aur ek bottle me rakh le.
Tension ko kaise dur kare
Abe k bhaag doodh ka kar le aur dusra bhaag thanda paani milakar mila le. Yaad rahe iski matra 300 ML honi chahiyea
Kya Hai Khurak:
• Doodh me milakar yeh curan kha le. Yeh pehla khurak hai.
• Dusri khurak phir dopahar me kha le.
• Aur teesri khurak phir shaam me kha le.
Do din agar aap aisa karenge tab hi aapko iska asar deekhna shuru ho jaega. Peshab me jalan to durr hoga hi saath aapke muh me hone wale chaale aur pitt se bhi aapko rahat milegi.
Wahin thand ke samay agar peshab me jalan ki shikayat ho tab aap doodh me thanda paani nahi balki gunguna paani hi milaye. Peshab ka hamare body se nikalna bahut jarurui hai kyonki isi ke jariye body se sari gandagi nikalti hai. Jada pareshani hone par apne shehars ke kisi ache doctor ko jarur dikhaye.