Har kisi ke life me kabhi khushi to kabhi gum jarur aata hai. Kuch log kaam ko lekar ya phir apni study ko lekar itna tension le lete hain ki wo kabhi khush hi nahi rehte hain. Aise logo ke liye khud ke liye 5 minute bhi khushi ke liye nikalna bahut badi baat hoti hai. Tanav aur tension aapke body ko andar se khokla aur aapko bilkul akela bana dete hain.
Aaj hum apne iss article ke jariye aapko batayenge ki kaise aap tanav aur tension ko khud se rakh sakte hain durr :-
Tension ko kaise dur kare in hindi
1. Kaam ke beech 5 minute ka break jarur le :
Chahe aap kitne bhi busy kyon na ho lekin khus ke liye jarur 5 minutes ka samay nikale. Work ke beech aaram lenge to tanav aur tension aapse durr hi rahegi.
2. Prakriti se kre pyaar aur inke rahe Kareeb :
Tension ho koi to kisi khoobsurat prakriti ki vadiyon me chale jaea jaise ki kahin Hariyali me, sea ya pahad par. Prakriti se krenge pyaar to aapko bhi badle me sukoon milega jo aapke mann ko khush rakhega.
3. Diet par dhyan de aur pani khoob piye :
Junk food ko jitna ho sake avoid kare aura cha balanced diet khaye. Pani bhi khoob piye. Acha khana aur pina aapko fit rakhega aur aap hamesha khush rahenge.
4. Paaltu janwar ko ghar me rakhe :
Kabhi Kabhi akelapan bhi insaan ko tanav me le aata hai, aise me best hai ki aap koi bhi paaltu pashu ko apna saathi bana le. Pet animals pyaar ke badle aapko pyaar hi denge. Ek acha samay aap apne pet animal ke saath bita sakte hain.
5. Parivaar aur Dosto ke Saath samay spend kre :
Jitna ho sake apne parivaar aur dosto ke saath time spend kre, thodi hasi majaak to kabhi saath me picnic jaye.
6. Dhyan kare :
Apne busy schedule se time nikalkar 5-10 minute ke liye dhyan kare. Om ka uchcharan karenge to aapko shaanti milegi aur tanav aapse durr rahega. Yehi nahi dhyan karne se Saath hi isse tanav aur galat vicharo se bhi chutkara milta hai.
7. Khud ko Samjhne ki koshish kare :
Positive thinking (Sakaratamak soch) ko hamesha apne saath lekar chale, negative thinking ko paas bhi bhatakne nahi de. Acha sochenge to sab acha hi hoga. Tension aapse koso durr rahega.
8. Soft Music Sune :
Tension ya tanav me hai aap to soft music sune isse aapko shaanti milegi aur dhyan bhi dusri jagah laga rahega.
9. Diary Likhne ki Aadat Dale :
Sabse best tarika hai tension ya tanav ko durr rakhne ka ki aap diary likhna shuru kar de. Diary me aap apne mann ki baat leekh denge to aapka mann shaant ho jaega, isse aap jada nahi sochenge.