Pregnancy ka phase har mahila ke liye sabse khaas aur sabse kathin mana jata hai. Body me kayi tarah ke badlao ke saath saath aapka mood bhi bahut jaldi change hone ki sambhavna hoti hai. Aise me aapke garbh ke andar shishu ke liye kya sahi hai kya galat aapke liye janna bahut jaruri hai.
Iss khaas samay me khan-paan aur anya cheejo ko lekar alert rehna bahut jaruri hota hai. Bahut si cheeze aapko khane ka mann karega lekin ho sakta hai ki wo cheeze aapke hone wale bachche ke liye sahi na ho. Isliye mahilao ko pregnancy ke waqt kuch cheeze khane se mana kiya jata hai.
Aisi cheezo me papita ka naam sabse upar hai, jise lekar kayi logo ke alag alag raye hai,
Waise to papita (papaya) ko pregnant hone par khana galat mana jata hai. Papita garm hota hai. Isko tab khaya jata hai jab aapko stomach related koi bimari ho ya phir kabz. Papita aapke pate ko saaf rakhta hai. Garm tasir hone ki wajah se aapke hone wale bachche ke liye papita sahi nahi hai. Kehte hai papite ka niyamit sevan karne se garbhpaat bhi hone ki ashanka rehti hai.
Scientists ki maane to pregnancy ke samay papita khaya ja sakta hai agar wah puri tarah se paka hua ho aur iska prayog kam matra me kiya jaye. Aapko bata de ki paka hua papita me vitamin-C aur vitamin-E hota hai saath hi isme fibre ke saath folic acid bhi hota jo aapke body ke liye faydemand hai.
Papite ko aap doodh aur shehad ke saath mix kar ke bhi pee sakte hai. Yeh kaafi paushtik hota hai, jo garbhwati aur stanpaan karane wali mahilao ke liye bahut laabhdayak mana jata hai.
Papita Kab Hota Hai Hanikarak :
Agar papita puri tarah se paka hua nahi hai, thoda bhi kachcha hai to yeh bahut hanikarak hota hai. Dhyan rakhe aadha paka hua papita pregnant woman ke liye bilkul bhi safe nahi hai. Kachche papite me latecs bahut jada matra me hota hai. Yeh latecs aapke garbh me reh rahe bachche ko buri tarah effect karta hai. Papite ka chilka aur beej bhi garbhavastha me bahut hanikarak ho sakte hai.
Papite ko lekar yeh manyata bani hui hai ki garbhavastha me iska sevan karna puri tarah se hanikarak hota hai. Kehte hai isko khane se aapka bachcha aapke pate me hi mar jata hai kyonki papita me sharir me bahut garmi paida karta hai.