Nimbu jise hum English me Lemon kehte hain Vitam C se bharpur hoti hai. Nimbu na sirf sehat ke liye achi hoti hai balki aapke skin ko bhi saaf karti hai. Nimbu ko rojana khane se aapka stomach bhi healthy rehta hai.
Aaea batate hain kya hain nimbu ki fayde aur kyu hai yeh laabhkari :
1. Motapa Ko Karta Durr :
Nimbu motape ko durr karta hai. Garam pani me nimbu ka ras aur shehad ko mila kar subah-subah khali stomach me peene se aapka motapa kam ho jaega aur aapko ek acha figure dene me kamyab hoga. Nimbu aapko energy bhi deta hai jisse aap active rehte hain aur body ko andar se clear bhi karta hai.
2. Kidney Stone Se Chutkara :
Sendha namak ko nimbu ke saath milakar peene se aapko kidney me stone ki shikayat nahi rahegi. Yehi nahi nimbu ka chilka ko peeskar head par lagane se migrane ka dard bhi kam ho jata hai.
3. Ganjapan Karta Durr :
Agar aap ganje ho rahe hain to aapke liye nimbu bahut labhkari hai. Nimbu ke beej ko pees le aur phir jahan baal nahi hai wahan lagaye, naye baal ugne lagenge. Kabhi koi jakham ya ghaav ho jane par bhi nimbu ke ras me badam ka oil milakar lagane se aapka ghav jaldi theek ho jaega.
4. Chehra Ko Banata Chamakdar :
Nimbu ke rass me chandan milakar lape bana le aur phi rise lagaye. Isko lagane se pimples nahi honge aur chehre par kisi bhi prakar ka daag dhabba khatam ho jaega. Yeh aapke chehre ko glowing bhi banata hai.
5. Blood Pressure Ko Karta Hai Control :
Nimbu ka rass aapke blood pressure ko control me rakhta hai. Garam pani me nimbu ka rass milakar peene se aapka kharab gala theek ho sakta hai. Yehi nahi kisi jeev-jantu ke kaat lene par bhi yeh dawai ki tarah kaam aa sakta hai. Isko lagane se aapke body me kabhi jehar nahi failega.
6. Gas Ki Bimari Ko Karta Hai Theek :
Aksar logo ko gas ki shikayat rehti hai, aise me nimbu pani bahut asardar hota hai. Kala namak me nimbu ka rass mila le aur pee le, aapka stomach theek ho jaega.
7. Daanto Ka Peelapan Bhi Karta Durr :
Chote me dhyan na dene ki wajah se ya phir jada smoking karne ki aadat ke karan daant peele hone lagte hain. Aise me aap nimbu ko apne daanto par ragarkar saaf kar sakte hain. Nimbu se na sirf daanto ka peelapan durr hota hai balki chamakdar bhi ho jata hai.
Shaljam ke fayde
8. Skin Problem Me Bhi Hai Asardar :
Weather change hote hi skin me kai tarah ke infections hone lagte hain. Kabhi kisi ko daad ki shikayat rehti hai to kabhi khujli, Acha hoga agar aap nimbu ke rass ko apne body par lagaye. Yeh akin se sambhatit sab hi bimari ko theek kar deta hai.
9. Gums Ko Karta Majbut :
Nimbu sirf daant hi nahi masudo yani ki gums ko bhi jadd se strong banata hai.
10. Nails Ko Banata Chamakdar :
Ladkiyon ke liye yeh best cosmetic product hai apni nails ko sundar banana ke liye. Nimbu se na sirf nails saaf hote hain balki strong aur chamakdar bhi deekhte hain. Apne kohni aur haatho ka kalapan bhi durr kar sakte hain aap nimbu ki madad se.