Ladkiyo ko sajna sawarna kitna acha lagta hai yeh kaun nahi janta hoga. Ye unka haqq bhi to hai, unka saaj singaar hi to unhe aur bhi khoobsurat bana deta hai. Inhi saaj-singaar me aata hai nail paint.
Ladkiyo ko alag alag colour ke nail paint kharidna aur unhe haatho me lagana bahut acha lagta hai. Kuch ladkiya jo fashion ko lekar kuch jada update rehti hai wo to har roz apni dress se matching nail paint hi lagati hai.
Aaj hum aapko batate hai ki agar aapko bhi nail paint lagana acha lagta hai to unhe lagan eke baad aap yeh neeche diye gaye kuch kaam bilkul na kare nahi to aapki nail polish kharab ho jaegi aur aapki mehnat bhi bekar ho jaegi.
Yeh hai kuch aasan se tips:
• Nail paint lagan ke turant baad nahi nahaye:
Nail paint chahe jitna bhi waterproof kyo na ho usko sukhne me 5 minute se jada hi lagte hai. Nail paint ko lagan eke baad turant nahane bilkul nahi jaye.
• Bed par bhi turant nahi jaye :
Aisa na ho ki aapne nail paint lagaya aur phir bed par sone chal diye. Isse aapka bed kharab to hoga hi saath hi aapki nail paint bhi fail sakti hai.
• Kitchen me jane se bache :
Nail paint lagan eke baad khud ko kitchen se durr hi rakhe to aapke liye acha hoga. Nail paint lagane ke baad kitchen ke kaam jaise sabji cut karna, bartan dhona, aata gundna ya cook karne se bache. Nail paint ki raunak isse kharab ho sakti hai aur agar sahi se na sukha ho to yeh bikhad bhi sakti hai.
• Kapde na dhoye :
Aisa na ho ki nail paint laga liya phir aapko yaad aa raha ho ki kapde bhi dhone the. Agar kapde dhone jyada jaruri hai to nail paint na hi lagaye.
• Khana thodi derr me khaye :
Nail paint laga liye hai to apni bhukh par control kare kyonki nail paint kharab ho sakta hai. Yehi nahi nail paint agar sukha nahi hoga to wo aapke khane ke saath aapke stomach ke andar bhi ja sakta hai, jo health ke liye theek nahi kyonki nail paint me chemicals maujud hote hai.