Kya aapko lauki nahi hai pasand to janab shuru kar dijiyea isko khana… kyonki lauki hai aapke liye bahut laabhkari. Janna chahenge kaise, aaea hum aapko batate hain :
1. Aapko Tajgi Dega :
Lauki ek halki sabji maani jati hai jisko khane ke baad aapka stomach jada bhari nahi hota. Isko khane se aap hamesha taja feel karenge. Agar aap chahte hain ki har din aap tarotaja bane rahe to shuru kar dijiyea lauki ke rass me namak aur masala dalkar peena.
2. Aapka Vajan Kam Karega :
Lauki aapka vajan (weight) bahut jaldi kam kar deti hai. Motapa kam karna hai to pehle lauki ko ubal le phir isme namak milakar kha le ya phir aap lauki ka juice banakar bhi pee sakte hain.
3. Digestion Me Karta Hai Madad :
Lauki khana ko pachane me bhi bahut laabhkari sabit hota hai. Rojana iska sevan karne se aapko kabhi acidity ki shikayat nahi hogi.
4. Diabetes Ko Karta Control :
Jinhe diabetes ki bimari hai unke liye lauki bahut laabhkari hai. Diabetes ke patient ko khali pate lauki khana chahiye jisske ki unka blood sugar control me rehta hai.
5. Urinary Disorder Ko Bhi Karta Sahi :
Agar aapko urine se related koi bhi pareshani hai to lauki bahut faydemand hogi isko theek karne me. Yeh body me maujud sodium ko kam karne me madad karta hai jo aapke urine ke saath bahar nikal jati hai.
6. Aapke Skin Me Natural Glow Lata :
Lauki ko roj khane se aapka skin naturally glow karne lagega aur aapko attractive bhi banana me madad karega. Ladkiyon ke beech me yeh sabji lauki bahut favourite hai.
7. Cholesterol Ko Karta Kam :
Lauki khane se aapko cholesterol ki shikayat nahi rahegi. Rojana lauki ka sevan karne se aapka cholesterol dheere dheere khatam ho jaega. Lauki ka juice banakar peene se aapko jada fayda hoga.
8. Lauki Me Maujud Hai Dietry Fibre Aur Vitamins :
Lauki apne andar khoob sara vitamins chipaye hue hai jaise ki vitamin A, vitamin C, vitamin B3, vitamin B6 saath hi minerals, calcium, iron, magnesium, potassium, phosphorus, sodium aur zinc paya jata hai jo aapko healthy banaye rakhta hai.
NOTE: Dhyan se padhe neeche diye gaye points –
- Lauki ko kabhi bhi kisi aur vegetable juice me nahi milaye.
- Lauki ka istemal karne se pehle usko taste kar le kahin wo kadwi to nahi… kyonki kadwi lauki khane se aapki tabiyat kharab ho sakti hai.
Ab lauki ko bana lijiyea apne khane ka dost taki aap hamesha healthy and fit rahe.