Pregnancy ka samay har mahila ke liye bahut important aur special hota hai. Aise samay me hone wali maa ko apna bahut khyal rakhna padta hai. Sabse jyada iss samay khane peene ko lekar alert rehna bahut jaruri hota hai kyonki kayi cheeze pregnancy ke samay hone wali maa aur bachche ko nuksaan pahucha sakti hai.
Yun to pregnant lady iss samay apne doctor ke bataye hue diet chart ko hi follow karna jyada pasand karti hai. Ek aur jahan hone wali maa ko kuch cheeze bilkul nahi khane ki salah di jati hai wahin kuch cheeze aisi bhi hoti hai jinhe khana behad jaruri hota hai.
Dekha jaye to bahut si cheeze hai jinhe pregnancy ke samay khana chahiye, unhi me se ek hai lehsun. Ji haan pregnant hone par lehsun ka sevan karna aapke liye bahut laabhkari hoga aur saath hi aapke garbh me pal rahe bachche ke liye bhi.
Aaea batate hai kaise lehsun pregnancy ke samay hai bahut faydemand:
• Pregnancy ke samay lehsun jarur khaye kyonki lehsun me paya jane wala alicin aapke baalo ko jhadne se rokta hai. Pregnant lady ke baal kafi jhadte hai aise me aap apne diet me lehsun ko jarur shamil kare taki aapke baal jhadna kam ho jaye.
• Kya aap jante hai ki alicin aapke cholesterol ko bhi control karta hai aur saath hi weight ko bhi control me rakhta. Lehsun ko roj khane se aapko dil ka dauda ka bhi khatra kam hota hai. Ye dhyan me rahe ki lehsun ko aap jyada matra me na kha le, adhik khane se aapke body me side effects bhi ho sakta hai.
• Daily lehsun ko khane se cancer jaisi badi bimari ka bhi khatra kam rehta hai. Isko rojana khane se aapka immune system sahi rahega.
• Lehsun me aise kayi tatva maujud hai jisse khatarnak bacteria aapse durr rahenge. Yehi nahi isko khane se aapko sardi jukaam bhi nahi hoga.