HIV Aids ke baare me kaun nahi janta. Iska ilaz jarur hai lekin sahi samay par iss bimari ka pata lage tab hi aapka treatment ho sakta hai aur aap puri tarah theek ho sakte hai, nahi to yeh bimari aapki jaan lekar hi jati hai.
HIV Aids tab ho sakti hai jab aap asurakshit sharirik sambandh banate hai, ya phir kisi bimar insaan ke saath koi contact banate hai. Aaea batate hai HIV Aids ke kuch lakshan jinko janna behad jaruri hai:
• Fever :
Agar aapko lagatar bukhar aa raha hai to aap savdhan ho jaea kyonki lagataar aane wala bukhaar aids ka lakshan ho sakta hai. Aapko bata de ki iss badi bimari me immune power kam ho jata hai, jiski wajah se bukhar nahi theek ho pata hai.
• Lagatar Thakaan :
Thakaan ka lagatar bane rehna bhi aids ka ek lakshan hai. Body ka immune power kam hone ke karan aaram ki jarurat hoti hai. Aise me lagatar thakan ka bane rehna swabhavik baat hai.
• Headache Hona :
Aids ka ek aur symptoms hai headache hona. Ji haan, agar aapko head me pain hota hai aur gala bhi kharab rehta hai to yeh ek gambhir bimari jaise ki aids ka lakshan ho sakta hai.
• Skin Par Nishan :
Resistance aur immune power kam hone ke karan body aapki bimariyo se aapko bachane me saksham nahi reh pata hai. Aapko bata de ki iska asar skin ke outer area par bhi padta hai. Skin par red rashes hona aur unka theek nahi ho pana bhi aids ka lakshan hai.
• Weight Ka Lagatar Kam Hona :
Upar diye gaye symptoms ke saath saath agar aapka weight bhi lagatar ghatta jar aha hai, to yeh tension wali baat hai. Jald se jald doctor ko dikhaye aur ilaaj shuru karaye.
• Sote Waqt Paseena Aana :
Kya aapko sote samay bahut paseena aata hai? Agar jawab haa me hai to yeh lakshan bhi aids hone ka sanket deti hai.