Agar aap yeh sochte hain ki rusi sirf thand ke dino me hi hoti hai to aap galat sochte hain, garmi me pasine ki wajah se rusi apna ghar hamare sundar baalo me bana hi leti hain. Rusi ek badi samasya hai kyonki yeh hamare baalo ko damage kar deti hai. Log aksar unn logo se duri banakar rehte hain jinke baalo me rusi hoti hain, aise me yeh sharmindagi ka ek karan bhi hai.
Aap garmiyon me apne baal ka dhyan aise rakh sakte hain – Jane Garmi me Balo me rusi ke gharelu upay in hindi :
1. Balo Ko Ache Se Dhoye :
Rusi ko agar durr rakhna hai garmiyo me to apne baal jarur dhoye. 2-3 baar week me shampoo kare. Oil ka istemal kam hi karenge to aapke liye acha hoga. Pasine se baal garmiyo me chip-chip ho jate hain jisse rusi hone ka jada chances hai.
2. Jaitun Ka Tel Lagaye :
Garmiyon me best hoga agar aap jaitun ke tel ko garam kar ke lagaye. Rusi jaitun ke tel se nahi hoti hai.
3. Dhoop Ko Avoid Kare :
Garmiyo me koshish kare kid hoop me aap nahi nikle. Suraj ki roshani aapke baalo ko rough aur hard banati hai. Aapka head jaldi garam ho jata hai jisse paseene bhi teji se nikalte aur rusi ko ghar mil jata hai.
4. Hair Comb Kare :
Agar aapko apne baalo se pyaar hai to garmiyo me baal ko din me do baar comb jarur karea. Baal ko brush se hi comb kare. Isse blood ka sanchar hoga aur baal aapke healthy rahenge.
5. Dahi Ka Istemal Kare :
Rusi ke liye best hai dahi (curd). Dahi me anda (egg) ko mila le aur phir baalo me laga le. Isse aapka head thanda bhi rahega aur rusi bhi nahi hogi. Yeh tips rusi ko jadd se khatam kar deti hai.