दांतों की देखभाल

Daat safed karne ke gharelu upay

teeth whitening tips home remedies in hindi

Kya ho jab aap smile kare to saamne wala aapko dekh kar majaak uda de… Ji haan ek khoobsurat smile ke liye na sirf smile karna ya aapke lips ka sundar hona hi important hai balki aapke daant bhi smil me ek khaas bhumika nibhate hai, isliye daaton ko peela hone se bachaye warna aap jab jab smile karenge duniya aapko dekh kar hasegi aur majaak udaegi.

Aap jis tarah apne chehre (Face) ko sundar banane aur baalo (Hair) ko reshmi banana me jute rehte hain theek usi tarah daaton (Teeth) ka bhi khyal rakhea tab hi log aapke muskaan par fida honge.

Daat safed karne ke gharelu upay :

  • Agar daaton ka peelapan chura raha hai aapki muskurahat to istemal kare Apple Cider Vinegar jise seb ka sirka bhi kehte hai, isse daaton ka peelapan durr hota hai aur turant daat safed kar deta hain.
  • Seb ka sirka (Apple Cider Vinegar) daaton ki gehrayi me jakar safayi karta hai jisse aapke peele daat safed hokar chamakne lagne hain. Yeh sirka sirf daat ko hi swasth nahi banata balki masuro ko bhi swasth rakhne me madad karta hain.
  • Seb ke sirke se apne daat chamkane ke liye aapko bass ek cup pani (Water) me aadha chammach seb ka sirka le le aur apne toothbrush ki help se daaton par isse tab tak brush kare, jab tak aapke daat puri tarah clean na ho jaye. Iss tarike se aapke daaton se daag hatt jaenge aur aapke daat phir chamak uthenge.

Seb ka sirka (Apple Cider Vinegar) ka istemal karne se pehle inn baaton ko jaan le :

1. Istemal karne se pehle seb ke sirke wali bottle ko ache se hila kar shake kar le.

2. Seb ke sirke ko pehle paani me mix kare tab hi istemal kare.

3. Seb ke sirke ko jada use nahi kare. Daat peele hai to din me bass ek baar hi iska istemal kare. Jada istemal se aapke daat aur masure kharab bhi ho sakte hain.

Dant saf karne vale fal

Santra 

Santra na keval apke svasth ke liye gunkari hai balki isaka chhilka bhi apake danto ke liye faydemand hai. vitamin c our micro organism se bharpur santre ka chhilka apake danto ki majbuti our chamk banye rakhata hai.

Strawberry

Santare  ke alava aap dant saf karane me Strawberry ki bhi  sahayata le sakate hai. Strawberry se aap danto ki massage karenge to apake danto ka pilapan dur ho jayega.

Tarbuj (Watermelon)
Rojana tarbuj khane vale ke daant hamesha majbut rahte hai. yah fruits na keval dant ko saf rakhata hai balki majabut or badbu rahit banata hai. darasal tarbuj me vitamin c hota hai jo apake dant or masudo ke liye bahut hi faydemand hota hai. anti-oxidant hone ki vajah se aapke masude hamesha svasthy rahate hai.

watermelon3

Sev (Apples)
Aisa mana gaya hai ki jo vyakti rojana sev khate hai usase muh me lar utpan hota hai. ye lar hamre health ke liye sahi hota hai. isake alava apple khane se danto me bacteria nahi panapte jisase hamre dant sadane se bach jate hai. isake alava apple me malic acid hota hai jo hamre dant ko saf rakhane me madat karta hai. malic acid toothpaste product me bhi istemal me laya jata hai.

 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment