Roj ke khane me hum chawal jarur khate hai. Din bhar ke ek time me chawal to hota hi khane me. Kuch log jahan chawal ko halka maante hai to kuch ise motapa badhane wala bhojan karar dete hai. Aapko bata de ki chawal khane ke kuch fayde hai to kuch haani bhi hai.
Roj ke bhojan me chawal ko shamil karne se body me complex, carbohydrate aur vitamin-B ki matra bahut achi rehti hai. Aapko bata de ki chawal ko maar ke saath khana jyada faydemand hota hai.
Yun to chawal badi aasani se digest ho jata hai, isliyea diarrhea ya koi aur stomach problem hone par chawal ka sewan karne se aapke stomach ko aaram milega. Aise samay me chawal ko aap doodh ya dahi ke saath milakar bhi kha sakte hai.
Toilet (Peshab) se related koi bhi bimari ko aap chawal ke dhule pani se theek kar sakte hai. Kyon, soch me padd gaye na.. aaea batate hai kaise? Aap chawal ke dhule paani me soda aur chini (sugar) milakar pi lijiyea isse samasya durr ho jaegi. Yehi nahi bhaang ka nasha utarne me bhi yeh kafi upyogi hai.
Migrane ki samasya hai agar to aap raat ko sone se pehle chawal ko shehad ke saath milakar khane se aapko fayda hoga. Ek week aisa kare aur dekhe headache ka problem khatam ho jaega.
Pate me kida ho jane par bhi chawal ke pani ka prayog kiya jata hai. Sone se pehle chawal ko bhunkar bhinga kar rakh dijiyea aur phir subah uske pani ko piya karea. Aap dekhenge aisa karne se aapke pate ke kide mar jaenge.
Jin logo ko jhaiyon ki shikayat rehti hai unhe chawal ke paani se apna chehra dhona chahiye. Jhaiyan jald hi durr ho jaengi.
Kya aap jante hai ki beans aur daal ke saath chawal ko khane se aapke body me protein ki matra bahut rehti hai. Isliyea jyadatar log chawal ko daal ke saath ya phir khichdi ke roop me khaya karte hai.