Mahilaon me sabse adhik aur khatarnak bimari sunne ko milta hai wo hai Breast Cancer. Yun to iska ilaaj hai lekin aap khud bhi iss cancer ko hone se rok sakte hain aae batate hain kaise –
1. Motapa ko kam kare :
Agar aap moti hai to savdhaan ho jaea kyonki jinn ladkiyo ka wajan jada hota hai unko breast cancer hone ka khatra jada hota hai.
2. Kasrat roj kare :
Jo ladkiyan kam kasrat karti hain, breast cancer unme bhi hone ka khatra jada hai. Roj exercise karne ki habit banaea, yeh 10-30% cancer ke risk ko kam karta hai.
3. Diet me anar, fish aur daal ko kare shamil :
Breast cancer se bachne ke liye aap apne diet me anar, machli (fish) aur daal jaisi protein se bhari cheezon ka sevan karna shuru kar de. Inn cheezo ko khane se aapke body ko anti-oxidants milega jisse cancer ka risk nahi rahega.
4. Breast feeding jarur kare :
Mahilaon me estrogen hormones ke jada hone se breast cancer hone ki sambhavna hoti hai. Isliye mahilaon ko breast feeding jarur karna chahiye.
5. Alcohol se rahe durr :
Agar aapke family me kisi ko bhi breast cancer hai to aap khud ko alcohol se durr rakhe. Alcohol aapke body me estrogen badhata hai jisse breast cancer hone ka risk hota hai.