Kya aap nhi chahte ki smile krte waqt aap khoobsurat deekhe… jawab jarur haan me hi hoga. Ji Haan, aapki muskaan tab hi khoobsurat deekh sakti hai agar aapke honth sundar aur pink ho. Yeh baat to aap bhi maanenge ki aapke honth jitne sundar honge aap utne hi achhe lagenge. Aap bhi agar apne Hontho ko beautiful aur attractive banana chahte hain to aap inn baton ka rakhe dhyan, aaeye jane Pink lips ke liye tips in hindi :-
- Hontho ko hafte me ek baar jarur kisi bhi cold cream me thodi sugar milakar scrub kare.
- Gulab (rose) ke flowers ki petals hontho par ghisne se honth gulabi aur khoobsurat hote hai.
- Dhaniya (coriander) ki hari pattiyo ka ras hontho par lagane se honth hamesha mulayam rehte hai.
- 2 chammach petroleum jelly me aap 1 chammach strawberry ka juice mila le aur phir ise lip balm ki tarah istemal kare.
- Agar aapke honth kale (black) ho gaye hain to un par nimbu (lemon) ka ras jarur lagaye.
Fate lips ka ilaj :
- Kya aapke honth aksar fatt jate hain, to sone se pehle roj apne hontho par makkhan (butter) lagaye jisse apke fate honth mulayam ho jayenge.
- Fate hontho par ghee lagane se bhi honth ke dard me rahat milti hai.
- Raat me sone se pehle apne nabhi (navel) me deshi ghee lagaye, isse hontho ka rukhapan dur hota hai.
- 3-4 drops glycerin ko 1 chammach gulabjal me milakar roj din me 3 se 4 bar apne hontho par lagaye, isse fate honth mulayam ho jaenge.
- Khane me Apne hari sabjiyo ki matra badha de aur sath-sath dudh (milk), anda (eggs), makkhan (butter), khamir (yeast) aur papita (papaya) ko khate rehne se honth nhi fatenge.
- Garam cheeze jaise chay (tea) aur coffee ka sevan jitna kam ho sake utna kam kare.
Lips ka kalapan kaise dur kare in hindi :
- Malai ke saath thodi haldi milakar hontho par lagaenge to honth mulayam ho jaenge aur rukhapan bhi durr ho jaega.
- Nimbu ko katkar usko hontho par ragadne se hontho ki upri kali parat nikal jati hai aur gulabi ho jati hai.
- Shehad aapke hontho ko mulayam banane ke sath chamakdar bhi banata hai. Shehad ko hontho par lagakar dhire-dhire male, isse honth sundar ho jaenge.
- Hontho ko fatne se bachane aur unka kalapan dur karne ke liye jaitun ke tel bhi bahut upyogi hai. Oil k saath me thoda sa vaseline milakar hontho par lagaye roj.
- Chukandar ko katkar usko hontho par lagaye, isse hontho ko natural rang milta hai.