Nariyal tel ke fayde

Kehte hai nariyal (Coconut) bahar se jitna kathor (Hard) hota hai andar se utna hi naram (Soft) hota hai. Theek usi tarah nariyal tel (Coconut Oil) jitna bhi chip-chip ho lekin use lagane ke fayde anek hain.

Aksar log nariyal tel ko apne baalon me lagate hain, dadi maa ki mane to lambe aur ghane baal ke liye nariyal tel sabse best hai. Kuch log nariyal tel se khana bhi banate hain. Aap Chennai ya Kerala jaenge to wahan aapko har food nariyal tel me hi cook karke milega.

Aaea batate hain kaise nariyal tel sirf baalo (Hair) ke massage ya kitchen me hi istemal nhi karne ke liye hain…aap iss tel ko kuch yun bhi kare istemal aur iske fayde uthaye:

Mehenge Moisturiser ko ab kahea NO

Nahane ke baad ab mehenge moisturizer ya daami cream lagane ki jarurat nhi hai kyonki moisturiser aur cream se bhi jada acha hai nariyal tel, kyonki yeh aapke skin ko andar se chikna banata hai.

Infection ya Khujli hone par lagaye nariyal tel

Agar aapko khujli ya body me kahin infection hai to nariyal tel sabse best option hai. Nariyal tel me kapoor ko mix kar le aur phi ise lagaye. Roz nahane ke baad aap ise lagayenge to khujli ya infection ki shikayat durr ho jaegi.

Scars ko kre durr 

Nariyal tel na sirf khujli me hi asardar hai balki ise aap chot lagne ke karan hue scars par bhi lagaenge to scars dheere dheere gayab ho jaenge. Yeh tel jalan ko bhi durr karta hai.

Chehre ki safayi bhi krta hai nariyal tel

Aksar log heavy makeup ko hatane ke liye mehenge aur daami cleansing milk ka istemal karte hai jisse side effects bhi hone ka khatra hota hai, aise me best hai nariyal tel. Ji haan, coconut oil se clean karne par aapka chehra ache se saaf bhi ho jaega aur koi side effects bhi nahi hoga. Aap apne chehre par coconut oil lagakar ise cotton se clean kar le.

Hair Removing me bhi madad kare nariyal tel

Ladkiyan aksar pareshan rehti hai apne body me anchahe hairs se, hair remove karane me dard to hota hi hai saath hi aapki skin bhi kharab hone ka darr hota hai. Aise me coconut oil best option hai. Hair remove krane se pehle aap coconut oil se massage kar le kyonki isse aapki skin soft aur glow kregi. Dhyan rahe yeh tarkeeb waxing par safal nahi hogi.

 

 

Dry skin chamak uthta hai 

Nariyal tel ka prayog chehare par karne se n keval chamak aati hai balki nariyal ke tel se dry skin par massage karne chehara chamak uthata hai.

Sharir ki Ellergy 

Sharir par ghav hone par bhi nariyal ke tel ka prayog karna chahiye. Isake sath hi, nariyal ka tel sharir ki allergy me bhi bahut faydemand hai.

Vajan karta hai kam

Coconut oil istemal karne vale badhte vajan ko kam kar sakte hai. yah tel abdominal fat ko kam karane me sahayak hai. isalie Coconut oil ko apane diet me shamil kare.

Memory and Brain Function
2004 ke study me paya gay hai ki Coconut oil memory problems ko sudharane ka kaam karta hai. isake alava is tel ke jariye Immune System Boost kar sakte hai our apani Energy ko badha sakte hai.