Kya aapke naak se bewajah khoon nikal raha hai to savdhan ho jaea kyonki yeh koi aam baat nahi hai. Yun to naak se khoon nikalne ki kayi wajah ho sakti hai jaise ki adhik garmi hone par, koi allergy hone par ya phir naak me chott lag jane par. Yehi nahi kuch logo ki bahut gandi aadat hoti hai naak me ungli daalne ki jiski wajah se bhi bleeding hoti hai.
Jo log mountain par chadte hai ya phir kisi unchayi par jate hai unke bhi naak se khoon nikalta hai. Agar aapko oxygen sahi dhang se nahi mile to bhi aapke naak se khoon aayega.
Naak se agar bahut khoon aane lage tab aap doctor ka wait mat karea balki hum kuch gharelu upchaar batane ja rahe hai unhe apnayea aur asar dekhiyea –
- Nose se bleeding jab hone lage tab aap mulayam kapda apne almirah se nikal le aur use sirke me dubokar halke haatho se nichod le. Iss kapde ko apne naak me lagaye rahe. Aisa karenge tab aapki naak se khoon nikalna kam ho jaega.
- Garmi me jitna ho sake utna jada paani piya kare aur saath hi hari sabjiya apne khane me maujud kare. Green vegetables me maujud vitamin K aapke khoon ke thakke ko jamane me madadgar hota hai.
- Koshish kare wo cheeze khane ki jinme zinc hota hai. Zinc ke sevan se rakt koshikaye safe rehti hai. Iske alawa vitamin C se yukt cheeze bhi khana faydemand rahega.
- Naak se khoon aate hi barf ka istemal kare. Ek soft aur light kapde me barf ko rakhkar naak ko senke. Iss tips se aapko aaram jarur milega.
Note: Upar bataye gaye gharelu upchar se bhi nose bleeding nahi ruke tab jald se jald aap apne paas ke ache doctor se consult kare. Khoon ka yun body se behna achi baat nahi. Alert rahea aur dusro ko bhi alert rakhea.