Aapne har kisi se jarur suna hoga ki walk karna behad jaruri hai ek healthy jeevan jeene ke liye. Exercise agar aap nahi kar sakte to bass 15-20 minute ki walk aapko acha healthy jeevan de sakti hain. Roz subah aur shaam walk karna aapke liye koi difficult kaam nahi.
Aaeye vistar me jane Morning walk ke fayde
Aap subah subah apni neend thodi kam kar de aur khuli jagah me walk kare, isse aapka mann pura din shaant bhi rahega aur aap kaafi active mehsus karenge.
Aankhon Ki Roshni Badhane Ka Gharelu Ilaj
Jaisa ki humne upar kaha ki walk karne se aap active mehsus karenge aur aapke body ke har parts ka exercise ho jaega. Isse na sirf aapka health acha rehta hai balki aapke chehre me bhi natural glow aata hai. Jo log motape se pareshan hain unke liye walking sabse best option hai patla hone ke liye.
Morning walk Ka Kya Hai Sahi Wakt :
Garmi me sahi samay hai 4-5 baje ka walk karne ke liye wahin thand me sahi samay hai subah ke 6 baje. Subah subah uthna thoda mushkil to jrarur hoga lekin best time yehi hoti hai health walk ki.
Walk Karna Behad Aasan :
Chalte samay aapko baki exercises ki tarah jada paseena bahane ki jarurat nahi padti. Yeh anya vyayam ki tulna me adhik prayas ki jarurat nahi hoti hai. chalna behad hi aasan hota hai. Yeh ek aesa aasan exercise hai jo koi bhi kar sakta hai.
Apni Kshamta Ke Anurup Chale :
Kuch log kehte hai ki tej chalne se fayda hota hai. Yahi iske viprit kuch log kehte hai ki dhire chalna jyada faydemand hai. To aapko bata de tej ya dhima yeh aap par nirbhar hai. Aap apni sehat ke hisab se chalne ki gati nirdharit kar sakte hai. Kyoki tez aur dhime dono tarike se chalne par hamare sharir ko fayda milta hai. Haa lekin aap raat ke khane ke baad tahal rahe ho to dhire dhire hi tahale.
Aaea Batate Hain Kya Hain Chalne Ke Fayde –
• Regular walk aapki bones ko strong banati hai.
• Motapa durr hota hai.
• Stress kam hota hai aur aap hamesha fresh aur active mehsus karte hain.
• Walk karne se kai badi bimariya jaise cancer, diabetes durr rehti hain.
• Blood flow ache se hota hain jo aapke heart ko hamesha swasth rakhta hai.