Khali pet na khaye yeh 10 cheezen

Aap apne ache sehat ke liye kitna kuch karte hain… hai na! lekin kya aap bhi ye galtiyan to nahi kar rahe jisse aapki sehat ho sakti hai kharab. Ji haan kuch cheezo ka khali pate khana aapke liye bahut khatarnaak sabit ho sakta hai. Ho jaea savdhan aur jaan le kaun si hai wo 10 cheeze:

1. Soda :

Kya aap jante hain ki soda me carbonate acid hota hai. Agar aap ise galti se bhi khali pate pi lenge to aapki tabiyat bahut kharab ho sakti hai. Aapko vomiting ho sakti hai aur stomach me pain bhi.

2. Tamatar (Tomato) :

Tamatar me acid hota hai isliye ise khali pate khane se bachna chahiye nahi to aapko pate me jalan ki shikayat hogi. Tamatar stomach me ek jel banana ka kaam karti hai jo stone me tabdil ho jata hai. 

3. Dawayi (Medicines) :

Har doctor apne mareez ko yehi salah deta hai ki kabhi bhi khali pate dawayi nahi khaye. Iska karan yehi hai ki ise khali pate khane se aapko acidity hoga jo kabhi kabhi janlewa bhi sabit ho sakta hai. 

4. Sharab (Alcohol) :

Agar aap khali pate hain to sharab ko bhi haath nahi lagaye. Empty stomach ise lena bilkul bhi safe nahi hai. Pate me jalan hone ke saath saath aapka khana bhi nahi pachega agar aap peeyenge khali pate sharab. 

5. Masaledar Khana :

Khali pate masaledar khana khane se bache. Isme natural acid hota hai jo pate ke digestion ko bigad deti hai. 

6. Coffee :

Aksar log subah utthte hi coffee pi lete hain jo aapke health ke liye bahut hi ghatak hai. Isme caffeine hote hain jo aapke pate me jakar hulchul macha sakte hain. 

7. Tea :

Jis tarah khali pate coffee peena acha nahi hota theek usi tarah chayi (tea) peena bhi aapke sehat ke liye theek nahi hai. Inke sewan se aapko pate me dard ho sakta hai. 

8. Dahi (Curd) :

Yun to dahi sehat ke liye bahut laabhdayak hoti hai lekin isko khali pate khane se aapke pate me maror utthne lagte hain. 

9. Kela (Banana) :

Khali pate kela khane se sharir me magnesium ki matra badh jati hai jiske karan body me calcium aur magnesium ki matra jada ho jati hai Acha yehi hoga ki aap khali pate kel nahi khaye. 

10. Shakarkand :

Isme tannin aur pactein hota hai jise khali pate khane par gastric acid ki problem ho jati hai. Yehi nahi chest me bhi jalan hoti hai.