Kale honton ka ilaj

Aksar log cigarette peete hai aur bhul jate hai ki iske side effects bhi hote hai. Cigarette na sirf aapko andar se khokla kar deta hai balki bahar se bhi badsurat bana deta hai. Jahan khoobsurat hoth aapka har kaam aasan kar sakti hai ek muskurahat se wahin, Kale honth ke aam samasya hai, jo sundarta par daag ki tarah hai, jiska mukhya karan smoking hoti hai. 

Ladka ho ya ladki har koi apne khoobsurat hontho ki pehchan aise hi nahi jane dena chahta hai. Agar aap chahte hai ki aapke hoth hamesha gulabi bane rahe to jaruri hai ki aap iska acha se khyal rakhe. 

Yun to smoking ke alawa coffee, chai, allergy, honth ko baar-baar chatne bhi aapke honth ko dark bana sakta hai.

Cigarette mai nicotin hota hai jo honto ki skin ko rough to banata hi hai saath hi buri tarah jala bhi deta hai jiski wajah se honth kale padne lagte hai. Yeh baat maan le ki aap jaise hi smoking karna chhod denge aapke honth apne aap hi sahi ho jayenge. Aapko bata de ki caffine daanto ko pila kar dete hai aur saath hi hontho ko bhi kala karte hai. 

Aaea batate hai aapko kuch tips jisse aap cigarette ke karan hue kaale hontho ko sundar aur gulabi bana sakte hai: 

• Subah subah jab aap apne daaton par brush ragadte hai theek usi waqt aap apne usi brush se honth par se mrat koshika ko hatane ka prayas kare. Isse aapke hontho ke dead cell saaf ho jayenge aur new skin aa jaegi. Yeh tip aajmane ke baad aapke honth kaale nahi rahenge balki gulabi ho jaenge.

• Kaale honth se nijaat pana hai to roz raat ko sone se pehle vaceline ya nimbu ka ras lagaye. Cigarette ki wajah se hue kaale hontho par aap SPF 15 value wala lip balm bhi aap laga sakte hai. Aapke liye best hoga ki din bhar mai kam se kam 8 glass pani jarur piye. Yeh tip aajma ke dekhiye aur phir jo asar hoga aapko hairan kar dega. 

• Aap khajur ko ek cup mai dale aur upar se garam pani daal kar bass aadha ghanta bhigo kar rakh de. Yeh jo ghol aapne ready kiya hai usko hafte mai kai baar piya karea, kyonki isse aapke body mai blood circulation increase hota hai jisse honth gulabi ho jate hai.

Upar diye gaye tips se bhi best tips yehi hoga ki aap cigarette jitni jaldi ho sake chodd dene ki koshish kare. Isse na to aapki sehat par koi bura asar padega aur aapki muskurahat bhi sada haseen rahegi.