Hath ki jali skin ka upchar

Kya ho jab aap kisi se haath milane ke liye apna haath aage badhaye aur saamne najar aa jaye aapke haatho ka jhulsa hua chehra… Bahut sharmindagi lagti hogi na jab koi aapke jhulse haatho ko dekhkar aapse haath hi na milaye. Dhoop se na sirf aapki chehre ki hi skin kharab hoti hai balki haatho ki skin bhi kaali aur bejaan si ho jati hai.

Haatho aur ungliyo ke paas dhoop se jhulsi hui kaali skin aapke sundar haatho ki sari khoobsurti chupa leti hai. Agar aap chahte hai ki aapke haath ki sundarta kahin gumm nahi hoto yeh 5 tips aajma lijiyea: 

 

1.Hand Cream: Hamare haath kitne jyada kaam kar lete hai yeh hum khud bhi nahi samajh pate hai, aise me jaruri hai ki aap haatho ka ache se khyal rakhe. Ghar ka koi bhi kaam karne ke baad aap apne haatho me hand cream lagaye. Isse aapka haath khoobsurat bana rahega. Morning aur evening isko lagaye phir dekhe kamal. 

2.Sunblock Cream: Roj ghar se nikalne se pehle aap apne haatho me SPF-15 ya isse bhi adhik SPF wala sunblock cream laga le. Iss cream se aapke haatho ki tanning khatam ho jaegi. Yeh cream aapko tanning se bhi bachaegi aur kalapan bhi durr karegi. 

3.Nimbu (Lemon): Apne haatho aur ungliyo par nimbu ko ragada kare. Nimbu ko raat me lagakar chodd de taki haatho me pani nahi lag paye phir iska asar dekhiyea. 

4.Scrub: Apne haatho par scrub kare. Ghar par hi aap scrub bana sakte hai. Nimbu ke rass me cheeni (sugar) aur namak (salt) ka prayog kare saath hi besan aur dahi ko milakar bhi aap scrub bana sakte hai. Iss tips se aapke haath glow karne lagenge. 

5.Menicure: Samay-Samay par aap parlour jakar manicure jarur karwaye. Isse aapke haath hamesha soft rahenge aur saath hi isse skin ki toning bhi ho jaegi.