Har maa baap yehi chahte hain ki unka bachcha sabse jada intelligent aur clever ho. Bachcha maa baap ke aankhon ka tara hota hai, uske liye parents sab kuch karne ke liye ready rehte hain. Kai baar maa baap apne sapne unki aankhon me dekhne lagte hain. Khud sochea agar bachcha clever nahi nikal paya to unke sapno ka kya hoga? Parents apne bachcho ko samjha sakte hain lekin force nahi kar sakte.
Aisa jaruri nahi ki bachcha sirf janam ke baad hi buddhiman ban sakta hai, aap bachche ko apne garv me rakhkar hi bahut buddhiman bana sakte hain. Janna chahte hain kaise to yahan padhe –
1. Garv me maujud bachche se baatein kare :
Ajanme bachche se garvastha me hi khoob baatein kare. Isse aapka bachcha intelligent hoga.
2. Fresh fruits khaye :
Mahilaye jo maa banne wali hain unhe roz fresh fruits aur vegetables khana chahiye. Hone wali mummy log ko laparwahi nahi karni chahiye taze phal aur sabji khane me kyonki ye na sirf aapke wajan ko control karta hai balki aapke bachche ko bhi buddhi deta hai.
3. Stress se khud ko durr rakhe :
Pregnant mahilao ko hamesha tension free hi rehna chahiye. Stress me rehne ke karan aapke bachche ki buddhi par asar pad sakta hai. Pregnant women ko hamesha khush rehna chahiye.
4. Apne daaton ko hamesha rakhe saaf :
Mahilaye jo maa banne wali hain unhe apne muh aur daaton ki safayi par dhyan dena jaruri hain kyonki muh aur daaton me hone wali infection aapke hone wale bachche ki health par effect tp hota hi hain saath hi aage chalkar bachcho ko seekhane aur padhane me kathinayi ka saamna karne ki bhi sambhavna hoti hain.
5. Weight ko badhne se roke :
Adhiktar mahilaye pregnant hone par moti ho jati hain, jo bilkul normal baat hai. Dhyan bass itna rakhna chahiye ki aapka wajan itna bhi na badh jaye ki aapke bachche ke bhi wajan par asar pade. Aapko bata de ki agar hone wali maa ka wajan badh raha hai to iska matlab yeh hai ki aapke bachche ke wajan kam hota jar aha hai jo sahi baat nahi hai. Samanya weight me janme hue bachche clever hote hain.
6. Jada meetha khane se bache :
Pregnant hone par acha yehi hoga ki hone wali maa ko cheeni jada nahi balki ek proper amount me hi khana chahiye. Agar aap chahte hain ki aapka bachcha intelligent ho to chini kam khaye.
7. Ache ache songs sune :
Music hone wale bachche ki health par bahut prabhav dalta hai. Ache ache songs maa ko sunna chahiye taki unka bachcha bhi sunn sake aur aawazon ko pehchan sake. Aisa karne se aapke bachche ki buddhi badhegi.