Aksar log bhindi jise hum angreji me lady finger bolte hain isliye nahi khana pasand nahi karte kyonki yeh daaton me jakar chipak jati hai. Yeh hari sabji bhindi apne aap me bahut faydemand hai aapke body ke liye.
Aaea batate hain kaise hai bhindi aapke liye laabhkari:
1. Cancer Ko Rakhta Durr :
Agar aap apne khane ke plate me bhindi ko shamil karenge to cancer jaisi badi bimari aapse koso durr rahegi. Ji haan, bhindi hamare stomach ke intestines se zehareli cheezo ko nikal bahar karti hai aur ache se apna kaam bhi karti hai. Bhindi specially colan cancer ko durr rakhti hai.
2. Heart Ko Rakhta Hai Healthy :
Bhindi khane se aapka dil (heart) hamesha healthy rahega. Bhindi me maujud pactein aapke body se cholesterol ko khatam karta hai. Bhindi me fibres hote hain jinki madad se aap aur bhi kayi tarah ke heart disease se bache rahenge.
3. Diabetes Ko Karta Control :
Bhindi me paye jane wala yugenaul, diabetes se grasit logo ke liye behad faydemand hain. Bhindi blood sugar ko control karne me help karta hai, jisse diabetes hone ke chances kam hote hain.
4. Hemoglobin Banane Me Karta Madad :
Agar aapko khoon (blood) ki kami hai to aap bhindi khana shuru kar de kyonki isme paya jane wala iron aapke body me khoon (hemoglobin) ko banana me madad karta hai.
5. Digestion Me Sahi :
Fibre se bharpur bhindi chip-chip isliye hoti hai kyonki yeh laslasa fibre aapko digestion me help karta hai. Bhindi khane se na to aapka kabhi stomach swell hoga, kabj ki shikayat nahi hogi, dard aur gas ki bimariya bhi aapko nahi hogi.
6. Bones Ko Banata Strong :
Bhindi me maujud laslasa fibre body ke bones ke liye kaafi upyogi hota hai. Bhindi me paya jane wali vitamin-K bones ko strong banati hai.
7. Immune System Ko Banati Strong :
Bhindi me vitamin-C to hota hi hai saath hi isme antioxidant bhi kaafi matra me hota hai jiske karan yeh hamari immune system ko strong banati hai taki yeh kayi saari bimariyon se fight kar sake jaise ki Khasi aur Thand jaisi kayi problems.
8. Aankho Ki Badhati Roshani :
Bhindi me vitamin-A, bita karotene aur anti-oxidant paya jata hai isliye isko khane se aapke aankho ki roshani kabhi kam nahi hogi aur aap motiyabind jaisi bimari se bhi bache rahenge.
9. Pregnancy Ke Samay Bahut Laabhkari :
Aapke ghar me koi pregnant hai to use bhindi jarur khilaye kyonki yeh aapke garv ke andar reh rahe bachche ke dimag ko strong banata hai aur hone wali maa ko bhi halthy rakhta hai.
10. Mota Hone Se Bachata :
Kya aap jante hain bhindi khane se aapki figure bhi ho sakti hai bhindi jaisi slim-trim… ji haan, yeh na sirf aapke weight ko kam karta hai balki aapke skin me bhi glow lata hai. Isko khane se aapke hairs beautiful honge aur shine bhi karenge.