बच्चों की देखभाल

Haklana treatment Gharelu Nuskhe

Haklane ki aadat aksar logo ko sharminda kar deti hai. Kuch log to atak-atak kar bolne ke chalte khud ko crowd me alag sa mehsus karte hain aur suicide kar lete hain. Aapko bata de ki haklane ka mukhya karan hai vaak shakti mai gadbadi hona. Haklane (Stammering) ki problem mai bolne wala, bole hue shabdo ko baar-baar dohrata hai yaa unhe lamba karke bolta hai.

Yun to Stammering ki problem mostly baccho me hi dekhne ko milti hai. Bachcho ki iss aadat se unke parents bhi bahut tension me aa jate hain saath hi bachche bhi kisi ke saamne bolne me confident feel nahi karte hain.

Haklane ki bimari mahilao our purusho dono me dekhane ko milti hai. darasal yah bimari bachpan me shuru hoti hai jo aage chalkar javani me bhi dekhane ko milti hai. teen se saat sal ke bacho me yah bimari  jyada paya jata hai. Aisa mana jata hai ki char me se ek ko yah bimari hoti hai.

Kya Hai Haklane Ke Lakshan:

•Jab aap kuch bolna chahte hain lekin kisi word ko bolte waqt atak jate, yehi nahi kisi sentence ko start karne mai problem hona, kuch shabdo ko bolne se pehle hichkichahat mehsoos karna.

•Kuch bhi bolte samay tez gati se aankhe ko bhichna, pairo ka jameen par thapthapana, jabde ka hilna.

Kya Hai Haklane Ke Gharelu Nuskhe:

1.Hara Dhaniya (Green Coriander) Khaye: Ghar me maujud hara dhaniya aur amaltash ke gude ko pani mai pisskar usi pani se 21 din tak lagatar kulla karne se aapki jibh patli ho jaegi aur haklane ki aadat bhi durr ho jaegi.

2.Green Amla: Rojana ek green amla bacche ko khilaye isse haklane ki samasya ko dur kiya ja sakta hai.

3.Makkhan Aur Kali Mirch Ka Mishran Khaye: Subah makkhan (butter) me kali mirch ka churan milakar mishran bana le aur lagatar khate rahe. Kuch hi dino me haklana durr ho jaega aapka.

4.Gaay Ka Ghee: Haklane ki problem jaldi theek gay (cow) ka ghee khane se hota hai.

5.Badam (Almond): Raat bhar bhingone ke baad badam ko subah makkhan ke saath khaye, isse thode hi dino mai haklahat durr ho jayegi.

Isake liye aap ek exercise bhi kar sakte hai.  Aap A, E, I, O and U jaise vowels ko aap jor se our clearly pronounce kare. Isake alava deep breathing exercise bhi kare. Isase apaka jabada to khulega hi sath hi apaki avaj bhi sahi nikalegi.

Haklane ki aadat agar bachpan me theek nahi ki gayi to yeh aage chalkar theek hone me bahut dikkat karta hai. Wahin aapka bachcha agar 5 saal se lagatar haklate chale aa raha hai to aap bachche ko kisi ache visheshagya ke paas le jaea.

 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment