Aksar aapne logo se suna hoga ki unhe peshab (Toilet) karte waqt bahut jalan si mehsus hoti hai. Peshab me jalan kisi ko bhi ho sakta hai chahe wo purush ho ya phir mahila. Kabhi kabhi yeh kuch dino ke liye hota hai, to kabhi yeh kisi ko hafto tak aur mahino tak taklif hoti hai.
Peshab me jalan ke mukhya karan ho sakte hain koi infection, kidney me stone, liver me problem, ulcer ya phir dehydration. Pregnancy aur diabetes ke waqt bhi yeh samasya sunne ko milti hain.
Vaise peshab mein dard aur jalan ki samasya purusho ki apeksha mahilao mein jyaada hoti hai. Doctor ke mutabik agar purusho mein yah samasya hai to jyadatar yah vrddh purusho dekhane ko milata hai .
Peshab ki jalan ko aap inn gharelu nuskho se durr kar sakte hain –
• Khoob Sara Pani Piye :
Sabse pehle jaruri hai ki aap dherr sara pani piye. Roz din me 2-3 glass pani piye kyonki kam pani pine se aapko toilet peele rang (yellow colour) ka hoga aur saath me jalan bhi hoga. Dhyan rahe toilet karne ke bahut derr tak aapko jalan hoti hai to yeh ek infection hai.
• Nariyal Ka Pani Piye :
Peshab me jalan ho to nariyal ka pani piye, yeh bahut faydemand hai. Nariyal ka pani dehydration ko bhi theek kar deta hai. Aap chahe to nariyal pani ko aur tasty banana ke liye isme gudd aur dhaniya powder mila le aur phir pi le. Aaram jald mil jaega.
• Guptang Ko Hamesha Saaf Rakhe :
Apne private parts (guptang) ko hamesha neat and clean rakhe. Roz din me 2 se 3 baar dhoye.
• Amla Ka Ras Piye :
Peshab me jalan ho to amla ka ras piya kare, yeh jalan ko kam kar deta hai.
• Beer Piye :
Kidney me stone hone ki wajah se bhi peshab me jalan ki shikayat hoti hai. Aise me aap beer peena shuru kar dijiyea kyonki yeh kidney ke stone ko gala deta hai. Subah ke waqt khaskar beer ko nariyal pani me mix kar ke piye kyonki dehydration hone ka khatra hota hai.
• Khatte Fruits Khana Shuru Kare :
Peshab me jalan ke waqt khatte fruits yani ki citric fruits ka sevan kare. Aapko bata de ki citric fruits aapke peshab me infection ko janam dene wale bacteria ko marta hai.
• Dhaniya Powder Bhi Asardar :
Raat me hi ek chammach dhaniya powder ko puri raat bhinga kar rakh dijiyea phir morning me usme chini ya gudd mila kar pi lijiyea. Iss Tips se bhi aapko aaram jaldi mil jaega.
•Baking Soda khaye
Yadi peshab me jalan hai to baking soda apaki madad karega. Yah urine ki acidity ko kam karne me sahayk hai. jisake karn beshab me jalan hota hai.Yahi nahi bar-bar hone vale peshab ki samsya ko bhi door karta hai. Iske liye aap ek glass pani me ek teaspoon of baking soda milaye, fir use khali pet pijiye aapko aram milega.