Jara Sochea Kaisi deekhegi ye duniya agar hamari aankhon se roshani hi gayab ho jaye? Hum ye colourful duniya apni aankhon ki badaulat hi to dekh pate hain. Jaruri hai ki hum apni aankhon ka ache se khyal rakhe taki inki roshani kabhi kam na hone paye.
Aankhe bahut najuk hoti hai, yeh ek ahem hissa hai hamari body ka. Aankho ki roshni tab kam hoti jab hamare sharir me Vitamin A ki kami ho jati hai. Aapne dekha hoga aaj kal chote-chote bachche chasmal agate hain. Kuch jo ache se apna diet ka dhyan nahi rakhte unki aankhe kharab ho jati hain to kuch jo din bhar apne television, computer, laptop aur mobile se chipke rehte hain unki bhi aankhen kharab ho jati hai. Ankhon ki safayi par bhi jo log dhyan nahi dete hain unki aankhen bhi kamjor ho jati hai. hai aur apko chasma lagane ke liye majbur karti hai.
Aankhon ki roshni badhane ka gharelu ilaj
Kya Kre Ki Aankhe Nahi Hongi Kharab :
- Roj papita khaye, isse aankhon ki roshni badhti hai.
- Garam doodh ke saath sev ka murabba khayea aapki aankho ki roshni tej hogi.
- Roj subah-shaam fruits aur green vegetables khane se bhi aankho ko shakti milti hai.
- Gajar ka juice bhi aankho ke liye best hai.
- Nahane se pehle apne pairo ke anguthe me oil (tel) malkar nahane se ankho ki roshni tez hoti hai.
- Subah subah jaldi uthkar park me os (dew) padi ghas me nange pairo se walk kare, kamjor ankhe tej ho jaengi.
Aise Rakhea Apni Aankho Ka Khyal :
- Computer ya laptop par kaam karte samay screen par lagatar na dekhe. Kaam ke beech me 20 minute ka break jarur le. Aisa karne se aankho ko rest milega.
- Dhoop me nikalne se pehle apni aankhon ko UV protector lens se cover kar le.
- Roj 1 minute me kam se kam 10 se 12 baar apni aankho ki palko ko jhapkaya kare.
- Bed par Letkar ya jhukkar padna bhi ankho ke liye thik nahi hota. Dhyan rahe Padte samay light aapke peeche se aani chahiye tab hi aankhe theek rahengi.
- Kabhi bhi travel karte hue jaise ki bus ya gadi me book padne se bache, kyonki chalti gadi me kitab padne se aankho par bura asar padta hai.
- Proper neend na lene se bhi aankhe thaki-thaki rehti hain jisse roshni kam ho jati hai. 6-7 ghante ki neend aap jarur le.
- TV ya computer se distance bana kar hi koi kaam kare.